hotaa rahaa yuuNhii agar anjaam vafaa kaa Lyrics - Shammi | Arjun | Moti Sagar | Mukesh

1951

Lyrics

hotaa rahaa yuunhii agar anjaam vafaa kaa
legaa na zamaane men koii naam vafaa kaa
sinduur kii laalii hai kisii ke suhaag men
jiite jii jal rahaa hai koii gam kii aag men
is ke sivaa hogaa bhii kyaa anjaam vafaa kaa
legaa na
jaakar nahiin aanaa jise kyon dekhe vo mudake
milate nahiin hamaraahii doraahe pe bichhadake
maluum hai hotaa hai jo anjaam vafaa kaa
legaa na
qasamen nahiin nibhatii dhare rah jaate hain vaade
ye ret kii diivar hai jo chaahe giraa de
sau kaam jafaaon ke hain ik kaam vafaa kaa
legaa na