Hangaama E Gham Se Tang Aakar Lyrics - Sudesh Kumar | Chitra | Krishna Kumari | Shakeel Badayuni

1957

Lyrics

Hangaamah e gham se tang aa kar
Izhaar e masarrat kar baithhe ae
Mashoor thi apni zinda dili
Daanistah sharaarat kar baithhe ae

Koshish to bahut ki hamne magar
Paaya na gham e hasti se mafarr
Veeraani e dil jab hadd se badhi
Ghabraa ke mohabbat kar baithhe ae

Har cheez nahin ek markaz par
Ik roz idhar ik roz udhar
Nafrat se na dekho dushman ko
Shaayad ye mohabbat kar baithhe ae

Allaah to sab ki suntaa hai
Jur’at hai ‘shakeel’ apni apni
Haali ne zubaan se uff bhi naa ki
Iqbaal shikaayat kar baithhe ae
Hangaama e gham se tang aa kar
Izhaar e masarrat kar baithhe ae.