Hame garv hai song is from .It stars and in leading roles. It is produced by Sanjiv Jaiswal. This song was released on 19 Oct 2012.
Yeh dharm maanav seva ka
Jo hai bada har dharm se

Yeh dharm maanav seva ka
Jo hai bada har dharm se
Yeh oonch aur yeh neech
Insaan banta apne karm se
Balidan shudron ka bhala
Yeh samaaj kyon nahi maanta
Varchaswa apna hi liye
Haan deen iske samaan ka
Jai Bheem apna mantra hai

Hame garv hai, hum shudra hain
Hame garv hai x (2)

Yeh raudra roop shudra ka
Hunkaar jo bhar yuva
Prabudh bhed bhaav se
Kyon bana yeh jaat paat
Shoshan se trast hai hua
Woh aaj itna kruddha hai
Ho raha hai ek jut
Yeh asmita ka yuddha hai
Hai maas ke hi hum bane
Hai ragon mein rakt laal
Kya hai oonch, kya hai neech
Poochhata yehi sawaal
Bhor ka bigul baja
Dhal rahi yeh shaam hai
Koti koti naman mera
Bheem ko pranaam hai

Yeh paanv mukt ab huye
Ghungaruon ke shor se
Na mitenge paap chinha
Pallavon ke chhor se
Vanchit hua kyon mandiron se
Jal pe koi haq nahi
Shiksha se door kyon kiya
Di aushadhi talak nahi
Varshon ki kuntha kootkar
Astra le nikal pade hain
Itihaar ko badal de jo
Aa gayi hai woh ghadi
Ab samajh le yeh samaaj
Shudra bhi insaan hai
Koti koti naman mera
Bheem ko pranaam hai

Hai Balmik ne rach diya
Woh Ramayana hai woh vandita
Utkrisht dohe kabeer ke
Ravidas santon ke pita
Pariyaani Sahu Jyotiba
Hai shudra veer ki dastaan
Hai jal rahi jo ab talak
Woh Virsa Munda ki chita
Yeh Bheem apna mantra hai

Hame garv hai, hum shudra hain
Hame garv hai, hum shudra hain
Hame garv hai x (2)