Hamare desh me kehte the song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by B. N. Ghosh. This song was released on 07 Jan 1972.
hamare desh me kehte the
har ladki hindustani
ya radha hai ya sita hai ya jhansi ki rani
rama ho rama rama ho rama rama ho rama

hamne ganv ke panghat pe bhai
hamne ganv ke panghat pe
dekhi thi panihariya
chakkar kha gaye ham to re
bhaiya dekh shahar ki nariya ho ho

yaha sadke hai vaha galiya thi
yaha kante hai vaha kaliya thi
vaha tanga tha yaha tamtam hai
vaha gori thi yaha madam hai
vaha payal thi yaha sandal hai
vaha jhumar tha yaha pandel hai
vaha ghunghat tha yaha jalva hai
vaha shanti thi yaha balva hai
bat bat pe karti hai ye ladne ki taiyariya
chakkar kha gaye ham

koi bulbul hai koi titli koi shola hai koi bijali hai
koi ma hai koi ba hai koi koi to pa hai
bas nam hi to ek asli hai
baki jo hai sab nakli hai
kaisi doli kya barati khud chun le ye jivansathi
shadi se pehle karti hai
shadi se pehle karti hai
aksar prem kuvariya chakkar kha gaye ham