Hamara Bhi Ek Zamana Tha Lyrics - Jagjit Singh

1994

Lyrics

Isi chaman hamara bhi
Ik zamana tha
Yahin kahin koi sada sa
Aashiyaana tha
Isi chaman mein

Naseeb ab to nahin
Shaakh bhi nasheman kii
Lada huaa kabhi phoolon se
Aashiyaana tha
Isi chaman mein

Terii qasam are
O jald ruuthanevaale
Guruur-e-ishq na thaa
Naaz-e-aashiqaanaa thaa
Isi chaman mein

Tumhiin guzar gaye
Daaman bachakar varna yahaan
Vahii shabab vahii dil
Vahii zamaanaa thaa
Isi chaman mein

Isi chaman hamara bhi
Ik zamana tha
Yahin kahin koi sada sa
Aashiyaana tha
Isi chaman mein.