Hey gali jaise gandh hai Meete kalakand hai Jhute ki jodi sa joda hai inka
Hey pauwa addha saath mein Chunni leke raat mein Naada bhi thoda sa dheela hai jinka
Thaali ke baingan Dono jan Guddu Rangeela Arre waise gentlemen Dono jan Guddu Rangeela
Do baagi, hai anuraagi Dono ke piche phir maut bhaagi hoye Arre yeh bhogi hai beraagi Hai saaf aage se piche se daagi Hai yeh lafundar, yeh bawandar Yeh sikandar, yeh kalandar Koi na jaane ke dono hai kya
Hey Dono pakke deet hain Aansu peete neat hain Dil se bhi naata hai thoda inka Baaton ki saudagiri, ho kissi dadagiri
Kattu sa daude hai ghoda bhi jinka
Thaali ke baingan Dono jan Guddu Rangeela Arre waise gentlemen Dono jan Guddu Rangeela
Yeh paaji dikhdambaazi Mein ki hai dono ne BA tazi tazi hoye hoye..
Oye rang birange Inke lahu mein daude sharafat se purri dhokebaazi
Kabhi murgi, kabhi ande Kabhi roti, kabhi dande Khake sote hai taange faila..
Hai puti seedhi harkatein Dheeli dhali kismatein Laaton ke bhooton se ristha hai inka
Oye jaane saare totke Pichhe bhage note ke Chiller se koi na matlab jinka
Thaali ke baingan Dono jan Guddu Rangeela Arre waise gentlemen Dono jan Guddu Rangeela