Gori tera gaon bada pyara song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2007.
Gori tera gaon bada pyara
Main to gaya mara aake yahan re
Us par roop tera saada
Chandrama jyun aadha, aadha jawan re
Gori tera gaon bada pyara
Main to gaya mara aake yahan re, aake yahan re

Jee karta hai mor ki paon mein
Paayaliya pehna doon
Kuhu kuhu gaati koyaliya ko
Phoolon ka gehna doon
Yahin ghar apna banane ko
Panchhi karein dekho tinke jama re, tinke jama re
Gori tera gaon bada pyara
Main to gaya mara aake yahan re, aake yahan re

Rang birange phool khile hain
Log bhi phoolon jaise
Aa jaaye ik baar yahan jo jaayega phir kaise
Jhar jhar jharte huye jharne, man ko lage harne
Aisa kahan re, aisa kahan re
Us par roop tera saada
Chandrama jyun aadha, aadha jawan re

Pardesi anjaan ko aise koi nahi apnaata
Tum logon se jud gaya jaise janam janam ka nata
Apne dhun mein magan dolein, log yahan bolein
Dil ki zaban re, dil ki zaban re
Gori tera gaon bada pyara
Main to gaya mara aake yahan re
Us par roop tera saada
Chandrama jyun aadha, aadha jawan re