गायत्री चालीसा gayatri chalisa song is sung by . Record label of this song is Sona Rupa. This song is penned by and composed by . This song was released on 30 Jun 2020.
Doha:

Hrim shrim klim medha
Prabha jeevan jyoti prachand
Shanti kranti jagruti pragati
Rachana shakti aakhand
Jagat janani mangal karni
Gayatri sukh dham
Pranavo savitri swadha
Swaha puran kaam

Chaupai:

Bhoorbhuvahswah om yut janani
Gayatri nit kalimal dahani
Akshar chaubis param puneeta
Inme base shastra shruti geeta
Shashwat satoguni satroopa
Satya sanatan sudha anoopa
Hansarudh swetambhar dhari
Swarn kranti suchi gagan bihari

Pustak pushpa kamandalu mala
Subhra varna tanu nayan vishala
Dhyan dharat pulkit hit hoyi
Sukh upjat dukh durmati khoyi
Kamdhenu tum sur taru chaya
Nirakaar ki adhbut maya
Tumhari sharan grahe jab koi
Tarai sakal sankat so soi

Saraswati lakshmi tum kali
Deepae tumhari jyoti nirali
Tumhari mahima paar na pave
Jo sharad shatmukh gun gaven
Char ved ki matu puneeta
Tum brahmani gauri seeta
Mahamantra jitne jag mahi
Kou gayatri sam nahi

Sumirat hiya mein gyan prakase
Aalas paap avidhya nasae
Shristi beej jag janani bhavani
Kaal ratri varda kalyani
Brahma vishnu rudra sur jete
Tum sau pave surta tete
Tum bhaktan ki bhakt tumhare
Jananihin putra pran te pyare

Mahima aprampar tumhari
Jai jai jai tripada bhayhari
Poorit sakal gyan vigyana
Tum sam adhika na jag mein aana
Tumahin janu kahu rahe na shesha
Tumahin pae kachu rahne na klesha
Janat tumahin tumahin hihe jai
Paras parsi kudhatu suhai

Tumhari shakti deepe sab thai
Mata tum sab thor samai
Graha nakshtra brahmand ghanere
Tun gativan tumhare prere
Sakal shrishti ki pran vidhata
Palak poshak nashak trata
Mateshwari daya vrat dhari
Tum san tare patki bhari

Jaapar kripa tumhari hoi
Taa par kripa kare sab koi
Mand buddhi te buddhi bal paven
Rogi rog rahit ho javen
Daridra mite kate sab peera
Nashe dukh hare bhav bheera
Gruha kalesh chit chinta bhari
Nasae gayatri bhay hari

Santati heen su santati pave
Sukh sampati yut moad manave
Bhoot pishach sabe bhay khave
Yam ke doot nikat nahi aave
Jo sadhva sumire chit lai
Achhat suhag sada sukhdai
Ghar var sukhprad rahe kumari
Vidhva rahe satyavrat dhari

Jayati jayati jagdamba bhawani
Tum sam aur dayalu na dani
Jo sadguru so diksha pave
So sadhan ko saphal banave
Sumiran kare suruchi badbhagi
Lahen manorath gruhi viragi
Astha siddhi nav nidhi ki data
Sab samarath gayatri mata

Rushi muni yati tapasvi jogi
Arat arthi chintit bhogi
Jo jo sharan tumhari aave
So so manvanchit phal paven
Bal buddhi vidya shil swabhavu
Dhan vaibhav yash tej uchaau
Sakal badhe upje sukh na na
Jo yah path kare dhari dhayana

Doha:

Yah chalisa bhakti yut path kare jo koi
Taa par kripa prasannta gayatri ki hoi.

Om bhur bhuvah svah tat savitur varenyam
Bhargo devasya dhimahi dhiyo yo nah prachodayat.