Fikar hai song is sung by . This song is penned by and composed by . It is produced by Stunnah Beatz. This song was released on 07 Sep 2021.
Track: Fikar Hai
Artist: MC Altaf
Composed by: MC Altaf, Stunnah Beatz
Produced by: Stunnah Beatz
Guitar: Rahul Rajkhowa
Fikar hai, banavati chizo ka fikar hai
Dhundhu main sacchai kidhar hain
Fikar hai, fikar hai, fikar hai
Dekh rahe jhooth aur jhuth ka hi zikar hai
Saath me majboor, hum ho jayenge durr
Toh saab jayega toot
Ye fikar hai, fikar hai, fikar hai, fikar hai, fikar hai

Karte nai koi bhi
Asli bat karte ni koi bhi
Tv pe duniya toh alag hain
Asli me vaisa yaha koi ni
Sarir zinda insaaniyat so hi gyi
Jane do koi nahi
Loha hi lohe ko katt ta
Waise hi insaan hi insaan ko maarta
Fikar hai bachpan se mujhme kuch karne ki shiddat hai
Mauke hai bhot har mauke ki keemat hai
Kuch ke paas paisa, kuch ke paas kismat hai
Kahi se pyar toh kahi pe jillat hain
Fikar hai, janta nahi kaal hoga kya
Paar jigar hain

Ghar laage chota bas usi ki dikkat hain
Paida kyun kiya toh maa baap ka dosh
Chodda tu ghar apna saga hain dost
Ussi ke saath thi toh khoya tha hosh
Duniyadaari tabhi jeene ke josh
Duniya sali kisi ki nahi hain dost
Mushkile badhti har roz
Har jagah karti hai bhoot
Jane de chhod main pad jata soch mein
Mujhe lage ye tarike me khot hai
Mere liye mere apne hi boht hain
Apno ke paas, mere jaise boht hain
Aur shayaar toh nahi
Zindagi kalam ki nok hain

Acchai ke saamne burai bhi chonke
Fikar hai logo ko chamak hi pasand
Banavati cheezo ka zikar hain
Dekh rahe jhuth
Kadvi asliyat hain
Naseeb se saab mila sab
Choti kyun neeyat hai?
Dil apna bada kar usi ki keemat hain
Mushkile aye toh jhelne ki himaat hain

Fikar hai, banavati chizo ka fikar hai
Dhundhu mai sacchai kidhar hai
Fikar hai, fikar hai, fikar hai
Dekh rahe jhooth aur jhooth ka hi zikar hain
Saath me majboor hum ho jayenge durr
Toh sab jaayega toot
Ye fikar hai, fikar hai, fikar hai, fikar hai, fikar hai

Mujhe fikar hai ki aane vali peedhi
Mera sunegi kuch boora
Isiliye kuch acche vichaar do
Main na banna chahta aisa kalakaar
Jo chand rupyo ke liye bechde imaan ko
Main na jaanu social media ke trend dene vale kya samaaj ko
Maine suna followers ka zamana
Ab toh follow karo apne iss dil aur dimagh ko

Ooh, sikhne ki umar nahi seekhte hi rehne ka
Kamm pade sone ki jagah toh usse bade sapne dekhne ka
Pani pani apne wave mein hi behne ka
Chadar hain choti fir bhi pair failega
Job mera 1 hi hai likhte hi rehne ka
Jo aaya beech mein seedha fir dene ka
Zindagi teri hai kabhi nahi sehne ka, yeah
Isiliye kabhi nahi chup
Tu khaali gandgi sunn
Ghanta fir hoga ni kuch
Kalam kaa accha kar use
Rappers ko chaiye sirf views
Famous nahi bann jata dhool
Mere liye music matlaab usool
Kaha se main? Yeh kabhi mat puch