ek machharek machhar sala aadami ko hijda bana deta haiek khatmal puri raat ko apaahij kar deta haiek machhar sala aadami ko hijda bana deta haimat aao mere pas rahne do mujhe akelaladne do mujhe apni ladayi kabhi na kabhi to jhut kagala ghotegi sachayilekin sala ek machhar aadami ko hijda bana deta haisubha ghar se niklo bhid ka ek hisa banosham ko ghar jao, daru pio, bacche paida karoaur subha talak phir ek baar mar jaokyoki aatma aur andar ka insan mar chuka haijine ke ghinone samjhote kar chuka haisala ek machhar aadami ko hijda bana deta haiuchi dukan fika pakwan khadar ki langotichandi ka pikdaan sau me se assi beiman phir bhi mera desh mahantopi lagaye machhar kahta haidesh ke logo me samta ki bhawna aa rahi haiisiliye to badi machhali chhoti ko kha rahi haihamare chune huye kutte, hume hi katte haihumare hisse ki botiya aapas me batte haiamaan gand se bhari inki aawaj se nange raaste kaanpte haikal paida huye bacche, ek saans lete huye hapte haisaitano ki najayaj aulad tahalka macha rahi haiaur hum hum bhagwan ke chahete janwar insan zindagi ko gaali banaye baithe hai kya kare, salasala ek machhar aadami ko hijda bana deta hai
giro salo giro giro giro lekin giro tous jharne ki tarha jo parwat ki uchai se gir ke bhi apni sundarta khone nahi deta zamin ki tah se milke bhi apne astitav ko mitne nahi detalekin itna sochne ke liye waqt hai kiske paas, kyokisala ek machhar aadami ko hijda bana deta haimandir, masjid ki ladayi me mar gaye lakho insandharam aur mahjab ke naam par ho gaye hajaro kurbanjis ne anyay ke virod me baali ko mara rawan ko maut ke ghaat utarapunay ko paap se ubhara, mujhe us ram ki talash hai magarlagta hai is yug ke ram ko ajivan vanvas hai, kya karekyoki, sala ek machhar aadami ko hijda bana deta haiye machhar, ye machhar, jiska kichdo me ghar hainaaliyo me basera haiiski pahchan ye hai ke ye na tera hai na mera haiye machhar hijda bana dega, hijda bana degakabhi saitan aayenge, mere darwaje par dastak dengejahn ki talashi lenge, phir jal utengeus waqt mai daruga nahiapne sharir ko dhaal, hath ko talwar banungaek na ek din to, tum mera hath chumogekaro, aaj mujhe badnaam karo nilam karonilami ke liye kya hai mere paasbas jalte huye aanshuo ka ehsaasmana, magar mai tumse badla lunga, tumhari aakhiri boli parmere do sanso ke bich ka thahrao tumhe fokat me dungakyoki salo ek machhar ne tumhe hijda bana diya hai