Dhuan Dhuan Lyrics - Anu Malik
in Movies
Watch the Video
Song Information
Dhuan dhuan song is from Greatest Love Songs (Vol. 1) and it is sung by Anu Malik. The music of this song is composed by Anu Malik. This song was released on 04 Feb 2013.
Lyrics
dhuan dhuan dhundh mein khoyi chandaniya
lori sunaaun main kya
nam aankhon mein dubi sapaniya
lori sunaaun main kya
lori sunaaun main kya
raat bujhaaun main kya
neendein bulaaun main kya
pathrile takiye pe soti re duniya
lori sunaaun main kya
saansein zehar mein piroti re duniya
lori sunaaun main kya
maile maile baadal ki chaadar mein
chaand soya to jaaga nahi
sune sune ambar ne bhi had ki
chhoda aasha ka tara nahi
dil ka dil se yahan koi naata nahi
dard hota to hai aansu aata nahi
aansu aata nahi
dhuan dhuan dhundh mein khoyi chandaniya
lori sunaaun main kya
nam aankhon mein dubi sapaniya
lori sunaaun main kya