Dharti keh khuda song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . It is produced by John Alec, Salman Ahmad. This song was released on 15 Mar 2001.
Tumne bhi sunee yahan kahin
Gaein kaisi kaisi baatein
Tumne bhi sunay yahan kiye
Gaye kaise kaise waday
Jhooti thi sabhi yahan kahin
Gaeein khushion ki jo baatein
Jhotay thay sabhi yahan kiye
Gaye logon say jo waday


Dharti keh khuda
Bantay hain yahan
In ko bhi zara koi de saza


Muhron ki tarha kabhi chala
Rahay hotay hain woh hum ko
Pani ki tarha kabhi baha rahay
Hotay hain woh hum ko
Woh shammon ki tarha kabhi
Jala rahay hotay
Hain woh hum ko
Lamhon ki tarha kabhi gawa
Rahay hotay hain woh hum ko


Dharti keh khuda
Bantay hain yahan
In ko bhi zara koi de saza


Woh sitamgar hain
Unhain kya jeeain ya marain
Ho sitam jo bhi
Usay hum gawara karein
Woh yehi chahain
Keh dum hum unhi ka bharain
Hum jhukain aagay
Unhi kay unhi se darain


Aatay hain sabhi yahan kabhi nahin
Jaayen gey woh jaise
Kartay hain jafa koi saza nahin
Paayen gey woh jaise
Unn say yeh kaho chalay gaye
Yahan kaise kaise aa keh


Dharti keh khuda
Bantay hain yahan
In ko bhi zara, koi de saza
Dharti keh khuda
Bantay hain yahan
In ko bhi zara, koi de saza


Dharti keh khuda
In ko do saza
Dharti keh khuda
In ko do saza…..