Dekhi Zamane Ki Yaari Lyrics - Kagaz Ke Phool | Waheeda Rehman | Johnny Walker | Mohan Choti | Mohammad Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Dekhi zamane ki yaari song is from Kagaz Ke Phool (1959) and it is sung by Mohammad Rafi.It stars Waheeda Rehman, Johnny Walker, Mohan Choti, Veena in leading roles. This song is penned by Kaifi Azmi and composed by S. D. Burman. This song was released on 01 Jan 1959.
Lyrics
Bichhde sabhi, bichhde sabhi baari baari
Arre dekhi zamane ki yaari
Bichhde sabhi baari baari
Kya leke milein ab duniya se
Aansoo ke siwa kuchh paas nahin
Ya phool hi phool the daaman mein
Ya kaanton ki bhi aas nahin
Matlab ki duniya hai saari
Bichhde sabhi, bichhde sabhi baari baari
Arre dekhi zamane ki yaari
Bichhde sabhi baari baari
Bichhde sabhi baari baari
Waqt hai meharban, aarzoo hai jawan
Fikar kal ki karein itni fursat kahan
Waqt hai meharban, aarzu hai jawan
Fikar kal ki karein itni fursat kahan
Daur yeh chalta rahe, rang uchhalta rahe
Roop machalta rahe, jaam badalta rahe x (6)
Raat bhar mehman hain bahaarein yahan
Raat gar dhal gayi phir ye khushiyan kahan
Raat bhar mehman hain bahaarein yahan
Raat gar dhal gayi phir ye khushiyan kahan
Pal bhar ki khushiyan hain saari
Pal bhar ki khushiyan hain saari
Pal bhar ki khushiyan hain saari
Badhne lagi bekarari, badhne lagi bekarari
Arre pal bhar ki khushiyan hain saari
Badhne lagi bekarari, badhne lagi bekarari
Ud ja, ud ja pyase bhanwre
Ras na milega khaaron mein
Kagaz ke phool jahan khilte hain
Baith na un gulzaron mein
Nadaan tamanna reti mein
Ummeed ki kashti kheti hai
Ik hath se deti hai duniya
Sau hathon se leti hai
Ye khel hai kab se jaari, haye
Bichhde sabhi, bichhde sabhi baari baari
Arre dekhi zamane ki yaari
Bichhde sabhi baari baari