Dard Apnata Hai Lyrics - Jagjit Singh

1998

Lyrics

Dard apnaata hai paraaye kaun
Dard apnaata hai paraaye kaun
Kaun sunta hai aur sunaaye kaun
Dard apnaata hai paraaye kaun

Kaun dohraaye puraani baten
Kaun dohraaye puraani baten
Gham abhi soya hai jagaaye kaun
Gham abhi soya hai jagaaye kaun
Gham abhi soya hai jagaaye kaun

Wo jo apne hain kya wo apne hain
Wo jo apne hain kya wo apne hain
Kaun dukh jhele aazmaayen kaun
Kaun dukh jhele aazmaayen kaun
Kaun dukh jhele aazmaayen kaun

Ab sukoon hai to bhoolne mein hai
Ab sukoon hai to bhoolne mein hai
Lekin us shaksh ko bhulaaye kaun
Lekin us shaksh ko bhulaaye kaun
Lekin us shaksh ko bhulaaye kaun

Aaj phir dil hai kuch udaas-udaas
Aaj phir dil hai kuch udaas-udaas
Dekhiye aaj yaad aaye kaun
Dekhiye aaj yaad aaye kaun
Dekhiye aaj yaad aaye kaun.