Chal Meri Jaan Song Lyrics - Aaryan
Lyrics
Haule haule tu kadam badha meri jaan
Itna bhi yun na darr
Tere sang main haan chalta rahu
Jab talak hai bani mujhme jaan
Mushkil hai suna safar yeh bada
Par sang mein tere mere hai khuda
Sapna saja hai kal kisne dekha
Phir se naya
Chal meri jaan, chal meri jaan
Soche bina chal meri jaan
Jag to yeh hai bada zulmi sa
Iski na sunn yeh kisi ka bhi na
Thoda yakeen toh rakh
Mere humnawa khud pe zara
Lafzon se tu kar khushi ko byaan
Jo bhi hua sanam usse bhool ja
Aa chal basale hum kahi apna jahaan
Chal meri jaan, chal meri jaan
Soche bina chal meri jaan
Ho jo bhi humne gavaye
Aa unka harzana bharke
Aane wale pal ko manaye
Aur unko dugna banake
Aa hum jee le har khushi ko
Aansu pee le aaye ek duje ke aa
Chal meri jaan, chal meri jaan
Soche bina chal meri jaan
Haule haule tu kadam badha meri jaan
Itna bhi yun na darr
Tere sang main haan chalta rahu
Jab talak hai bani mujhme jaan