Aasmaan mein chamkte hue sitaare to hum roz dekhate hain Lekin sirf kisi toot’te hue taare ko dekh, Aankhen moonde, hum sapne sekte hain Kuch cheezon ki keemat unke tootne ke baad badh jaati hai Jaise ki dil, rishte aur un rishto mein ulajhe hue logon ke toote foote se dilIn japan, there is the art of kintsugi Wherw broken ceramics are put back together again Their cracks are filled with gold cement, To remind you, remind me and all of us that broken can be beautiful again To remind us, that memories may fade but don’t be afraid to remember, To remind us, the important of being and staying glued in this together To teach us, that our past history is what actually helps us reset To remind us, that even though the heart moves on, does it really.. Really forget?Main nahin jaanti ki toote hue tukdon ko kaun jodata hai? Lekin itna jaroor jaanti hoon ki thand se thithurta hua wo aadmi Aaj bhi fati huyi chaadar kyon odhta hai? Kyonki wo chaadar aaj bhi use apni yaad dilaati hai Wo chaadar aaj bhi khud ko khud se milaati haiKintsugi mein jab do toote hue tukdon ko joda jaata hai, unhen waqt diya jaata hai Gond ko saans lene ka, kaarigar ko tukde baantne ka Do toote hue log bhi to aise hi milte hai saans lete hue, saans dete hue Pahle juda lekin phir saath bhi to chalte hain Saath chalte hain lekin is darr se ki kahin vo ek baar kahin toot na jayeThe fear of having to hear or say yet another goodbye The fear of loving way too much or may be just a little
The fear of knowing that their hopes and dreams are still way too brittleLekin wo pyaar bhi kya? Jise khone ka dar na ho Wo musaafir bhi kya? Jiska sach mein koi ghar na ho Agar safar pe akele chal rahe ho to Ek thandi saans toh andar kheenchon Aaj agar toote hue ho to Kal shiddat se bikharna bhi to seekho Seekho kyonki majnu ne bhi to laila ke saath odha tha kafan, Seekho kyonki shahjahan bhi to aaj hai mumtaaz ke saath dafan Dekho ki ishq marne ke baad bhi nahin marta, Aashikon ka dil kabhi tootne se nahin dartaSo my dear listeners, Ishq ki fati hui chaadar ko odh lo Sidhe raaste pe bahut chal liye Aaj khud ke liye ek mod lo Ek doosre ka haath thaamo saphar ke liye, manzil ke liye nahin Apne humsafar ko uski apni raah chunne do Raaste alag ho sakte hain lekin jazba rakho toh sahi Kya hua? Agar toot jaoge phir kisi din Uth ke yahi to kahoge na, “i did it all over again.”So my dear listeners, Repeat and repeat it with me that you’re broken, you’re broken but you Beautiful And beautiful is strong enough to be broken again.