Breathless (title) song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . It is produced by Shankar Mahadevan. This song was released on 01 Jan 2018.
Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha
Jaise meri saari duniya main geeton ki rut
Aur rangon ki barkha hai
Khushbu ki aakdhi hai
Mehki hui si ab saari fizaayen hain
Behki hui si ab saari hawaayen hain
Khoyi hui si ab saari dishaayen hain
Badali hui si ab saari adaayen hain
Jaagi ummengein hain
Dhadak raha ahi dil
Saason main toofaan hain
Hoton pe nagme hain
Aakhon main sapne hain
Sapnon main beete hue
Saare woh lamhe hain
Jab koi aaya tha
Nazron pe chhaya tha
Dil main samaya tha
Kaise main bataun tumhe
Kaise use paaya tha
Pyaare se chehre pe bikhri jo julphen
To aisa lagta tha jaise kohre ke pichhe
Ek os main dhula hua phool khila hai jaise
Badal main ik chaand chhupa hai
Aur jhaank raha hai
Jaise raat ke parde main
Ek savera hai roshan roshan aakhon main
Sapnon ka saagar jismain prem sitaron ki chadar
Jaise jhalak rahi hai
Lahron lahron baat kare to jaise moti barse
Jaise kahin chandi ki payal goonjey
Jaise kahin sheeshe main jaam girey
Aur chhann se tutey jaise
Koi chhip ke sitaar bajaye
Jaise koi chandni raat main gaye
Jaise koi hole se paas bulaye
Kaisi mithi baatain thi
Woh kaisi mulakaatein thi
Woh jab maine jaana tha


Nazron se kaise pighalte hain dil
Aur aarzoo paati hai kaise manzil
Aur kaise utarta hai chaand jameen par
Kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
To bas hai yahin par
Usne banaya mujhe
Aur samjhaya mujhe
Hum jo mile hain
Hamain aise hi milna tha
Gul jo khile hain
Unhe aise hi khilna tha
Janmo ke bandhan
Janmo ke rishtey hain
Jab bhi hum janme to hum yahin milte hain
Kaanon main mere jaise
Shahed sa ghulne lage
Khwaabon ke dar jaise
Aakhon main khulne lage
Khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur
Kaisi rangeen thi khwaabon ki duniya
Jo kahne ko thee par kahin bhi nahi thi
Khwaab jo toote mere
Aakh jo khuli meri
Hosh jo aaya mujhe
Maine dekha maine jaana
Woh jo kabhi aaya tha
Nazron pe chhaya tha
Dil main samaya tha
Ja bhi chuka hai
Aur dil mera ab hai tanha tanha
Na to koi armaan hai
Na koi tamanna hai
Aur na koi sapna hai
Ab jo mere din aur ab jo meri ratain hain
Unmain sirf aansoon hain
Unmain seif dard ki ranj ki batain hain
Aur pharyaadein hain
Mera ab bhi koi nahi
Main hoon aur khoye
Hue pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye
Hue pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye
Hue pyaar ki yaadein hain.