Bhul Hui Kya Mujhse Lyrics - Lanka Dahan | Sapru | Ranjana | Paro | Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
in Movies
Watch the Video
Song Information
Bhul hui kya mujhse song is from Lanka Dahan (1952) and it is sung by Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt).It stars Sapru, Ranjana, Paro, Ranjit Kumari in leading roles. This song is penned by S.P. Kalla and composed by Hansraj Behl. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Bhul hui kya mujhse bhagawan
Kya hai dosh hamara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Shiv ka danush tod jab dala
Tab dali maine varmala
Wo kuch pal itne mann bhaye
Kumkum lal gulal udaye
Mann se mann mil ek hue the
Un charno mein apna tan mann vara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Bhul hui kya mujhse bhagawan
Kya hai dosh hamara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Raj tilak ka shubh din aaya
Swarg utar dharati par aaya
Jagmag deepak mal sazai
Ghar ghar banj uthi shahenai
Par bhi ye sukh dekh na paya
Bhuje dip aur gir aaya andhiyara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Bhul hui kya mujhse bhagawan
Kya hai dosh hamara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Bhul hui kya mujhse bhagawan
Kya hai dosh hamara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Pakar aaghya ram pita ki
Van ko chale nahi chinta ki
Raghukul reet sada chali aaye
Pran jaye par vachan na jahi
Van vanvasi chale tino van
Chhod ayodhya ghar se kiya kinara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Bharat charan chhu nir bahaye
Nil kamal jal mein murjhaye
Charan padu ka shish chadaye
Khud sewak ban raaz chalaye
Panchvati mein lene humko
Chhod aa gaye raaz pat ghar saara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Ghat pat par hum jo jaate
Kand mol kha samay bitate
Panchvati ke us aangan mein
Sau sau baras bitate van mein
Par na vidhata ko ye bhaya
De na saka ye bhi saath hamara
Likha vidhata kin ghadiyo me
Aisa lekh hamara
Sone ka marg kisne dekha
Kyu langhi dewar ki rekha
Apno se hum door hue hai
Milne se majboor hue hai
Tadap tadap kar rah jayenge
Kaun yaha de dukh mein saath hamara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Bhul hui kya mujhse bhagawan
Kya hai dosh hamara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara
Likha vidhata kin ghadiyo mein
Aisa lekh hamara.