Bekaar Kutte Lyrics - Buddha In A Traffic Jam | Anupam Kher | Mahie Gill | Pallavi Joshi | Pankaj Badra | Rohit Sharma
in Movies
Watch the Video
Song Information
Bekaar kutte song is from Buddha In A Traffic Jam (2016) and it is sung by Pankaj Badra and Rohit Sharma.It stars Anupam Kher, Mahie Gill, Pallavi Joshi, Anchal Dwivedi in leading roles. This song is penned by Faiz Ahmad Faiz and composed by Rohit Sharma. It is produced by Suresh Chukapalli, Vivek Agnihotri, Sharad Patel, Shreyanshi Patel, Pranay Chokshi, Ravi Agnihotri, Vikram Gupta, Dream Cube, Sandeep Goel, Abhishek Mohunta, Pritika Idnani, Ritesh Patel. This song was released on 13 May 2016.
Lyrics
Ye teri husn se lipti hui alam ki gard
Apni do roj jawani ki shiksto ka shumar
Chandni raato ka bekar dhehakta hua dard
Dil ki besud tadap jism ki maayus pukar
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Julm ki chhav me dum lene pe majhbur hai hum
Julm ki chhav me dum lene pe majhbur hai hum
Ek jara aur sitam seh le, tadap le role le
Ek jara aur sitam seh le, tadap le role le
Apne ajdad ki miras hai, mazur hai
Apne ajdad ki miras hai, mazur hai
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Jism par kaid hai, jazbat pe janjire hai
Jism par kaid hai, jazbat pe janjire hai
Fikr mehbus hai, guftar pe tazire hai
Fikr mahbus hai, guftar pe tazire hai
Aur apni himmat hai ki hum fir bhi jeeye jate hai
Zindagi kya kisi muflis ki kaba hai
Jisme har ghadi dard ke pehband lage jate hai
Zindagi kya kisi muflis ki kaba hai
Jisme har ghadi dard ke pehband lage jate hai
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Lekin ab julm ki miyad ke din thode hai
Lekin ab julm ki miyad ke din thode hai
Ik jara sabr ke faryad ke din thode hai
Ik jara sabr ke faryad ke din thode hai
Arsa ye dehar ki jhulsi hui virani me
Humko rehna hai par yuhi to nahi rehna hai
Arsa ye dehar ki jhulsi hui virani me
Humko rehna hai par yuhi to nahi rehna hai
Ajnabi haatho ka benam karabar sitam
Aaj sehna hai hamesha to nahi sehna
Ajnabi haatho ka benam karabar sitam
Aaj sehna hai hamesha to nahi sehna
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Ye teri husn se lipti hui alam ki gard
Apni do roj jawani ki shiksto ka shumar
Chandni raato ka bekar dhehakta hua dard
Dil ki besud tadap jism ki maayus pukar
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
Chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz.