badaraa le jaa niir hamaare, jaa ke baras saajan ke dvaare Lyrics - Saigal | non-film | Runa Laila

2018

Lyrics

saavan aayaa badaraa barase
barasan laagii ankhiyaan
kuhuk uthe hai man men mere
biite na mose ratiyaan
badaraa le jaa niir hamaare -2
jaa ke baras saajan ke dvaare -2
badaraa le jaa niir hamaare
aas kaa daaman haath se chhuutaa -2
bairii jag ne pyaar men luutaa -2
pii kaa har vaadaa hai jhuthaa -2
jhuuthe pyaar ke bandhan saare -2
badaraa le jaa niir hamaare -2
kab se gae ho kab aaoge -2
kab suuratiyaa dikhalaaoge -2
darshan pyaase nain bechaare -2
badaraa le jaa niir hamaare -2
kahanaa mere pii se jaake -2
bhuule kyon pardes men jaake -2
baithii huun aas kaa diip jalaae -2
aane kii tere raah savaare -2
badaraa le jaa niir hamaare
le jaa niir hamaare -3
badaraa le jaa niir hamaare