Baant raha tha song is from and it is sung by and .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Shakeel Noorani. This song was released on 01 Jan 2018.
Maein kyun daaman ko faylaaun
Main kyun koi dua maangun
Tujhe jab pa liya maine
Khuda se aur kya maangun
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam
Baantt raha tha jab khuda
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam


Meri wafa ke saaz mein
Goonj rahi hai laey teri
Meri wafa ke saaz mein
Goonj rahi hai laey teri
Maein bhi hoon teri jaanejaan
Meri wafa bhi hai teri
Tu hi jo mil gaya mujhe,
Tu hi jo mil gaya mujhe
Chaahiye aur kya sanam
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam


Kaash maein apni zindag
Pyar mein yoon guzaar doon
Kaash maein apni zindag
Pyar mein yoon guzaar doon
Waqt padhe to dil ke saath
Jaan bhi apni vaar doon
Shayad isi tarah se ho,
Shayad isi tarah se ho
Pyar ka haq ada sanam
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam


Log yahan tere mere
Pyar ko aazmayenge
Tujhko alag satayenge
Mujhko alag rulayenge
Apna magar hai faisla
Honge na hum juda sanam
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam.