Apun jaise tapori song is from and it is sung by , and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Vidhu Vinod Chopra. This song was released on 19 Dec 2003.
Apun jaise tapori
Ko kya malum
Sala pyaar kis
Chidiya ka naam hai
Lukkha giri karke
Apna timepass hota hai
Bidi paan chaye milta
Hai bus apun khush
Yeh pyar ka lafda locha
Kaye ko kaye ko
Are kaye ko re
Phir bole to ek din
Apum ke mohalle
Main hema aayi
Sala apun ka khopdi
Chakkar kha gaya
Truck ke saath bhi
Sala takkar kha gaya hey
Cha ayala kya soorat
Thi wo kya kahte hain
Haan julphen kya julphen thi
Chalti thi ek dum hawa ke mafik
Aakhein aisi ki ruka de traffic
Apun socha apun ka
Beda paar ho gaya
Bole to baap sala
Apun ko bhi pyaar ho gaya
Din bhar apun uski
Khidi ke neechu
Koi lafda nahi kuch nahi
Teen din na azzeb se
Lada na roshan se panga
Bus choop chap
Pahli baar ladki dekhi
Aakhen ruk bhi jaati to
To kya aankh
Nahi maari ha ha
Apun ka bhidu bhi
Sala darr gaya
Bola are munna sala
Too kaise darr gaya
Phir ek din usko
Dekh ke kallad bola
Aye munna bhi wo dekh
Kya qayamat ja rahi hai baap
Apun ka khopdi sarka
Kallad ko pakda aur bola
Idhar aa shayane tere
Ko qayamat dikhata hoon
Sale ko itna dhoya itna dhoya
Abhi tak thobda banka hai
Aur aaj tak uska apun ke
Saath chhatis ka aankda hai
Samjha samjha kya


Phir hema ka kya hua


Phir ik din wo apun
Ke dekh ke hansi
Apun bola baap
Hansi to phasi
Love ka hai wo bhi
Apun pe phida ho gayi
Do din ke baad
Uski shadi ho gayi
Apun ke saamne wo
Ghar se vida ho gayi
Uski doli uthi apun
Apun udhar ich khada tha
Lekin wo apun ko nahi dekhi
Wo raat apun do baje tak piya
Wo raat apun do baje tak piya
Saala ek ek sapna dekha tha
Lekin maan kasam
Main ek aansoon nahi roya
Kaye ko royega koye ko royega
Sala apun ich yeda tha na


Agle din vahi batting ke
Mafik life chaloo
Vahich gande glass main
Chaye vahi paan bidi
Azzeb ko itna maara ki
Log samjhe wo mar gaya
Bhoolne ka hai bhoolne
Ka hai par kya karega


Sapna toota hai to
Dil kabhi jalta hai
Haan thoda dard
Hua par chalta hai
Sapna toota hai to
Dil kabhi jalta hai
Haan thoda dard
Hua par chalta hai


Phir phir kya hua
Phir phir kya hua
Agle din apne mohalle
Main aishwarya aayi...
Apna khopdi phir
Chakkar kha gaya
Phri truck ke saath
Phir chakkar kha gaya
Cha ayala kya soorat thi
Aakhen aisi ke aise
Aye munna bhai
Tere dil ka traffic
Phir se ruka kya.