Apne Hothon Par Sajana Lyrics - Jagjit Singh

1992

Lyrics

Apne hothon par sajana chaahta hoon
Apne hothon par sajana chaahta hoon
Aa tujhe main gun-gunana chahta hoon
Apne hothon par sajana chaahta hoon

Koi aansoo tere daman par girakar
Koi aansoo tere daman par girakar
Boond ko moti banaana chaahta hoon
Boond ko moti banaana chaahta hoon
Apne hothon par sajana chaahta hoon

Thak gaya main karte-karte yaad tujhko
Thak gaya main karte-karte yaad tujhko
Ab tujhe main yaad aana chaahta hoon
Ab tujhe main yaad aana chaahta hoon
Apne hothon par sajana chaahta hoon

Chaa raha hain saari basti mein andhera
Chaa raha hain saari basti mein andhera
Roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
Roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
Apne hothon par sajana chaahta hoon

Aakhri hichki tere zaano pe aaye
Aakhri hichki tere zaano pe aaye
Maut ko bhi shayarana chaahta hoon
Maut ko bhi shayarana chaahta hoon
Apne hothon par sajana chaahta hoon.