Apna Desh Videsh Ke Aage Hath Naa Phailaye Lyrics - A K Hangal | Mukesh

1975

Lyrics

apna desh videsh ke aage hath naa phailaye
aaj jahan hai ret kal wahan khet muskaraye
aisa kee ganv ganv me ganga leharaye
apna desh videsh
mehnat ka hi nam hai wo jisko kismat kehte hain
do hatho kaa khel hai wo jisko daulat khate hain
ham jahan pasina bahayenge moti wahan ugayenge
nadiya bandh nahar nikale khushahali chhaye
apna desh videsh
desh ki har chiz hai apani kyo apne hatho se tode
isko bachana farz hai apna kyo sarkar par chhod e
apna bharat sara hame prant prant hai pyara
aapas ke hi in jhagado me desh naa jal jaye
apna desh videsh