Shaah-e-mardaan AliAli Ali AliAli Maula AliPatthar pe alam deen ka garaa jisneLalkaar kar Marhab ko pichaaraa jisneHaqAli Ali AliAli Maula AliJap le jap le mere manvaaYahii naam sacchaa hai pyaareYahii naam tere sab dukh haareIsii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat kholShaah-e-mardaan AliLa fataa illah AliSher-e-yazdaan AliTan par Ali, Ali ho zubaan par Al AliMar jauun to kafan par bhii likhna Ali AliBaghair hubb-e-Ali mudd'aa nahiin miltaaIbaadaton kaa bhii hargiz silaa nahiin miltaa
Khudaa ke bandon suno ghaur se Khudaa kii qasamJise Ali nahiin milte use Khudaa nahiin miltaaBasad talaash na ab kuch vus'at-e-nazar se milaaNishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaaAli mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hamenKhudaa ko dhuundha to vo bhi Ali ke ghar se milaaDiid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabiiHai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabiiGul-e-tathiir AliHaq kii shamshiir AliPiiron ke piir AliDast-e-ilaa kyuun na ho sher-e-Khudaa AliMaqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa AliJis tarah ek Zaat-e-Muhammad hai be-misaalPaidaa hu'aa na hogaa ko'ii duusraa AliBedam yahii to paanch hain maqsuud-e-qaaynaatKhairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, AliHaqAli Ali AliAli Maula Ali