Adiyogi song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 19 Feb 2017.
Door us aakash ki gehraiyon mein,
Ek nadi se beh rahe hain adiyogi,
Shunya sannate tapakte ja rahe hain,
Maun se sab keh rahe hain adiyogi,
Yog ke sparsh se ab yogmaya karna hai tan man,
Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan,
Utare mujhme adiyogi,
Yog dhara chalat chan chan,
Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan,
Utare mujhme adiyogi,
Utare mujhme adiyogi..


Pees do astitva mera,
Aur kar do choora choora,
Purn hone do mujhe aur,
Hone do ab poora poora,
Bhasm wali rasm kar do adiyogi,
Yog utsav rang bhar do adiyogi,
Baj uthe yeh mann sitari,
Jhanan jhanan jhanan jhanan,


Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan..
Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan..


Saans saaswat..
Praan gunjan..


Utare mujhme adiyogi,
Yog dhara chalat chan chan,
Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan,
Utare mujhme adiyogi..
Utare mujhme adiyogi..