aaNkhon men dil hai, honThon pe jaaN, tum kahaaN Lyrics - Lata Mangeshkar | chorus

1954

Lyrics

tum kahaan, tum kahaan
aankhon men dil hai, honthon pe jaan
tum kahaan ho tum kahaan
tum kahaan
sunasaan raahon pe aankhen bichhaa_iye
siine men laakhon aramaan chhupaa_iye
dil ko bhulaave detii rahii par
tumako na aanaa thaa tum na aaye
mitane lage manzil ke nishaan
tum kahaan
puuchhaa hai main ne shaam-o-sahar se
viiraaniyon kii ujadii nazar se
merii pukaaren
maayuus ho kar takaraake lautiin diivaar-o-dar se
tum kahaan tum kahaan
chup hai zamiin chup aasamaan
tum kahaan ho tum kahaan