aaNdhiyaaN Gam kii yuuN chaliin Lyrics - Bibbo | Yaaqub | Shantarin | Noor Jehan

1945

Lyrics

aandhiyaan gam kii yuun chaliin
( aandhiyaan gam kii yuun chaliin
baag ujad ke rah gayaa ) -2
( samajhe the aasaraa jise
wo bhii bichhad ke rah gayaa ) -2
aandhiyaan gam kii yuun chaliin
baag ujad ke rah gayaa
( puuchho naa maajaraa-e-gam
ujade hain is tarah se ham ) -2
ghar kaa charaag kyaa bujhaa -2
ghar hii ujad ke rah gayaa
aandhiyaan gam kii yuun chaliin
baag ujad ke rah gayaa
( mujh par bhii aa_ii thii bahaar
thodii sii der ko magar ) -2
hansate hii aansuu aa gaye -2
rang bigad ke rah gayaa
aandhiyaan gam kii yuun chaliin
baag ujad ke rah gayaa
aandhiyaan gam kii yuun chaliin