Aaj unke paynaz pe sajda karenge song is from and it is sung by .It stars Azad, Hameed and Ram Rasila in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1964.
aaj
un ke paa e naaz pe
sajda karenge hum
aaj un ke paa e naaz pe
sajda karenge hum
sajda karenge
sajda karenge
sajda karenge hum
un ke bagair ji ke bhala
kya karenge hum
aaj un ke paaye naaz pe
sajda karenge hum
ye husn ye shabaab
ye behki hui nazar
bikhri hain rukh pe aap ke
zulfen idhar udhar
jaise siyaah ghataayen
nichhawar hon chaand par
parwaane shamm e husn par
marte hain bekhabar
tujhko khabar hai zauk e nazar
kya karenge hum
haan haan
tujhko khabar hai zauk e nazar
kya karenge hum
nazar kya karenge hum
wo honge benaqaab to
parda karenge hum
parda karenge
parda karenge
parda karenge hum
un ke bagair ji ke bhala
kya karenge hum
aaj un ke paaye naaz pe
sajda karenge hum
gesu mein hain ghataayen to
aankhon mein bijliyaan
gaalon pe hai bahaar to
hothon pe gulsitaan
masti bhari adaayen hain
angdaaiyaan jawaan
aaa aaan
aankhon mein bhar ke khoon e
tamanna ae jaan e jaan
tujh ko bitha ke saamne
ae raunaq e jahaan
haan haan
tujh ko bitha ke saamne
ae raunaq e jahaan
ae raunaq e jahaan
tasweer teri dil mein
utaara karenge hum
tasweer teri dil mein
utaara karenge hum
un ke bagair ji ke bhala
kya karenge hum
aaj un ke paaye naaz pe
sajda karenge hum
maana shab e firaaq bhi
hoti hai is liye
har nabz e gham isi ke
sahaare guzar sakey
naqaam e ishq hijr mein
taare gina karey
hum intehaa e shauq ki
hadd se guzar gaye
lo aaj hum ne saare
sitaare bhi gin liye
ab ae shab e firaaq bataa
kya karenge hum
ab ae shab e firaaq bataa
ab ae shab e firaaq bataa
ab ae shab e firaaq bataa
kya karenge hum
un ke bagair ji ke bhala
kya karenge hum
aaj un ke paaye naaz pe
sajda karenge hum
kaali ghataayen chhaain hain
fasl e bahaar hai
kaliyaan mehak rahi hain
gulon par nikhaar hai
saagar chhalak rahe hain
fizaa saaz e daar hai
sab aa chuken hain sirf
tera intezaar hai
sab aa chuken hain sirf
tera intezaar hai
aa tera husn aur dubaala karenge hum
haan haan
aa tera husn aur dubaala karenge hum
dubaala karenge hum
dil ki shama jalaa ke
ujaala karenge hum
dil ki shama jalaa ke
ujaala karenge hum
un ke bagair ji ke bhala
kya karenge hum
aaj un ke paaye naaz pe
sajda karenge hum
sajda karenge
sajda karenge
sajda karenge hum
haan haan
sajda karenge
sajda karenge
sajda karenge hum
un ke bagair ji ke bhala
kya karenge hum
aaj un ke paaye naaz pe
sajda karenge hum
aaj un ke paaye naaz pe
sajda karenge hum