Aaj Ke Naam Lyrics - Haider | Kay Kay Menon | Shahid Kapoor | Shraddha Kapoor | Rekha Bhardwaj
in Movies
Watch the Video
Song Information
Lyrics
Aaj ke naam Aur aaj ke gham ke naam Aaj ka gham ke hai zindagi ke bhare Gulsita se khafa, zard patton ka ban Zard patton ka ban, jo mera desh hai Dard ki anjuman, jo mera des hai Unn dukhi maaon ke naam Unn dukhi maaon ke naam
Raat mein jinke bachche bilakhte hai Aur neend ki maar khaaye huye Baajuo se sambhalte nahi Dukh bataate nahi Minnat o zaariyo se behalte nahi Unn haseenaon ke naam Unn haseenaon ke naam
Jinki aankhon ke gul Chilmanon aur dareecho ke belon pe Bekar khil khil ke, murjha gaye hai Unn byaahtaon ke naam Unn byaahtaon ke naam
Jinke badan be mohabbat riyaatar se Jo thee saj saj ke, ukta gaye hai Bewaaon ke naam Katadiyon aur galiyon Mohallon ke naam
Jinke naapaak khashak se Chand raato ko aake karta hai aksar vazoo
Jinke saayon mein karti hai aahob ka Aanchalon ki hina, chudiyon ki khanak Kaakulon ki mehak Aarzoo mand seeno ki Apne pasine mein, jalne ki boo Padhne waalon ke naam
Aaj ke naam Aur aaj ke gham ke naam Unn dukhi maaon ke Unn haseenaon ke Unn byaahtaon ke naam