Aag ka dariya song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Shailesh R Singh, Dhaval Gada. This song was released on 26 Jul 2013.
Zarra zarra jale, zarra zarra phunke
Aslahe aslahe roam roam tape

Woh teer si chubhati khun ki baari
Jung ka yeh silsila janam se jaari
Mere jism mein jaise rooh hai jaagi
Mujhme hi jaise koyi ho gaya hai baghi
Parinday ko udna hai
Sab sadhe nishaana hain
Yeh Aag ka dariya hai doob ke jana
Yeh aag ka dariya hai doob ke jana hai

Kyun tere roop-rang mein khan-khan hai
Aur baatiyan mein ras manthan hai
Kyun tere roop-rang mein khan-khan hai
Aur baatiyan mein ras manthan hai
Tu bharam hai ya ehsas mera
Mast phir hothon ki chan-chan hai
Gehre gehre mein ho
Tu laakh peharon mein
Hoga jo ho tujhe pana hai
Yeh aag ka dariya hai doob ke jana hai
Yeh aag ka dariya hai doob ke jana hai

Rang se tere judaa hoke
Be-rang hi mujhko rehna hai
Rang se tere judaa hoke
Be-rang hi mujhko rehna hai
Pal pal palchhin mann vaare
Kahe ki kucch na kehna hai
Tukdon-tukdon mein jee main raha
Ab pura na ho paooonga main yahaan
Zarre ko bazi haan toofan se lagana hai
Yeh aag ka dariya hai doob ke jana hai
Yeh aag ka dariya hai doob ke jana hai