Aa Gaye Re Hum Yu Masti Me Lyrics - Zakhmon Ke Nishan | Jaspal Singh | Suresh Wadkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Aa gaye re hum yu masti me song is from Zakhmon Ke Nishan (1980) and it is sung by Jaspal Singh, Suresh Wadkar, Hemlata, Chandrani Mukherjee.It stars Vinod Mehra, Tamanna and Vijay Arora in leading roles. This song is penned by Ravindra Jain and composed by Ravindra Jain. It is produced by M T Boxwala. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
aa gaye re ham aa gaye re
yu masti me machal ke
aa gaye re ham aa gaye re
yu masti me machal ke
jaise pyale se, pyale se sharab chhalke
hay hoy hoy hoy
dole re dekho dole re
in aankho me khwab kal ke
dole re dekho dole re
in aankho me khwab kal ke
ho khushi aai hai ho aai hai, mere paas chal ke
oye oye oye oye
aa gaye re ham aa gaye re
ho ho ho ho ho ho
sang tumre jo din
hans bol ke hamne gujaare
kat jaayegi zindagi
unki yaado me sahaare
ho panghat se tum ek pardesi
ban gaye ab hamare
o raam kasam ab ji naa laage
ek pal bin tumhare, tumhare
kho gaye re
kho gaye re ham kho gaye re
in rango me aanchal ke
kho gaye re ham kho gaye re
in rango me aanchal ke
ho khushi aai hai ho aai hai, mere paas chal ke
oye oye oye oye
aa gaye re ham aa gaye
jhum jhuma kar naacho, naacho naacho
hosh gawa kar naacho, naacho naacho
har bhari dharti pe neele neele amber ko
amber ko sar pe utha ke naacho, naacho
aa gaye re
aa gaye re ham aa gaye re
nagme leke payal ke
aa gaye re ham aa gaye re
nagme le kar payal ke
ho jaise pyale se, o pyale se sharaab chhalke
hay hoy hoy hoy
aa gaye re ham aa gaye
o o o o o, hoy woi woi woi
kaafila ham banjaro ka, aaj yaha kal waha
hamne mud ke kabhi naa dekhe
apne kadmo se nisha
aa gaye re
aa gaye re ham aa gaye re
dekh mehfil me uchhal ke
aa gaye re ham aa gaye re
dekh mehfil me uchhal ke
sang naacho ji ho naacho ji, ho mil jul ke
oye oye oye oye
aa gaye re ham aa gaye re
samjho ye samjho is banjaran ke ishare
masti ki laharo me kahi chhut na jaaye kinaare
ho jivan ek naatak, badale har pal roop khiladi
ho ham nahi hain pahle jaise
buddhu aur anaadi anaadi
mushkil hain
mushkil hain aji muskil hain
yu jaana hame chhal ke
mushkil hain aji muskil hain
yu jaana hame chhal ke
ho kahi rona na ho rona na, are haath mal ke
oye oye oye oye
aa gaye re ham aa gaye re
yu masti me machal ke
jaise pyale se, o pyale se, sharab chhalke
hay hoy hoy hoy
aa gaye re ham aa gaye
aa gaye re ham aa gaye
aa gaye re ham aa gaye
aa gaye re ham aa gaye