Duniya ke saath song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Khushi, Prem Sethi. This song was released on 01 Jan 2018.
Duniya ke saath chal pyaare
Aise na haath mal pyaare
Do din bahaar hans kar guzaar
Hai ye reet aaj kal pyaare
Duniya ke saath chal pyaare
Aise na haath mal pyaare


Jab tak jawaan ye dil hai
Duniya haseen mahfil hai
Masti mein doob kar ji le
Har saans teri manzil hai
Jab tak jawaan ye dil hai
Duniya haseen mahfil hai
Masti mein doob kar ji le
Har saans teri manzil hai
Kyaa aitbaar phir ye bahaar
Aaye naa aaye kal pyaare
Duniya ke saath chal pyaare
Aise na haath mal pyaare


Thodi hain chaandni raatein
Ho mat soch hosh ki baatein
Khushiyon ki dhoop ke peechhe
Gham ki lagi hain barsaatein
Thodi hain chaandni raatein
Ho mat soch hosh ki baatein
Khushiyon ki dhoop ke peechhe
Gham ki lagi hain barsaatein
Saare usool bilkul fazool
Tu ganwaa naa ek pal pyaare
Duniya ke saath chal pyaare
Aise na haath mal pyaare
Do din bahaar hans kar guzaar
Hai ye reet aaj kal pyaare
Duniya ke saath chal pyaare
Aise na haath mal pyaare.