Kamata hoon bahut kuch par song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Anupchand Shah, Mahipatray Shah. This song was released on 01 Jan 1954.
Kamaai doob jaati hai
Kamata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai
Kuch income tax le jaata hai
Kuch biwi udaati hai
Kuch income tax le jaata hai
Kuch biwi udaati hai
Kamata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai

Achcha!
Kaho tum kuch bhi lekin yeh
Samajhdaaron ka kehna hai
Kaho tum kuch bhi lekin yeh
Samajhdaaron ka kehna hai
Kya?
Luta dete hain ghar ko mard
Aurat ghar banaati hai
Luta dete hain ghar ko mard
Aurat ghar banaati hai

Haan teri in saariyon ne
Jumparon ne maar dala hai
Aa teri in saariyon ne
Arre jumparon ne maar dala hai
Teri Diwali ki khatir mera nikla diwala hai
Main kadka hoon, main kadka hoon
Main kadka jeb se
Tu scent kapdon mein lagaati hai
Phiss phiss phiss..
Main kadka jeb se
Tu scent kapdon mein lagaati hai
Kamata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai

Basein bhi shehar mein chalti hain
To chalne do, kya hua?
Basein bhi shehar mein chalti hain
Kyon taxi mein jaate ho
Cinema dekhte ho, hotelon ke bill chukate ho
Kamaai aadhi bahar aur
Aadhi ghar mein laate hain
Kamaai aadhi bahar aur
Aadhi ghar mein laate hain
Luta dete hain ghar ko mard
Aurat ghar banaati hai
Kamata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai
Kamata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai oho ho ho

Ubal jaat ho chahe doodh, chahe roti jalti ho
Pehan kar reshmi sa..
Arre mori sa, haan mori, haan mori sa
Nakhre waali, nakhre waali
Sunle mori, sunle mori sa
Sa re ga ma pa dha ni sa
Sa ni dha pa ma ga re sa.. ri, saari
Tu hai nipat anari, pehne leshmi chhaali
Pehan kar reshmi saari
Tum aise aise chalti ho
Tum aise aise chalti ho
Tum aise ehe ehe ehe ehe hey
Main baatein jab sunata hoon
Mujhe aankhein dikhaati hai
Main baatein jab sunata hoon
Mujhe aankhein dikhaati hai
Kamata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai

Uda dete hain paisa
Baad mein phir hath malte hain
Daba ke munh mein cigarette
Aap aise aise chalte hain
Museebat sar pe jab aati hai
Biwi kaam aati hai
Museebat sar pe jab aati hai
Biwi kaam aati hai
Luta dete hain ghar ko mard
Aurat ghar banaati hai
Kamata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai

Bhandu naka, bhandu naka
Bhandu naka, bhandu naka
Nahi daam, nahi daam
Nahi daam, nahi daam
Bhandu naka, bhandu naka
Nahi daam, nahi daam
Bhandu naka, nahi daam
Bhandu naka, nahi daam
Mere paas daam nahi hai
Mere paas daam nahi hai
Mere paas daam nahi