Bahaaron ki duniya song is from and it is sung by and .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Prem Narayan Arora. This song was released on 01 Jan 2018.
Aa jaa aa aa
Aa jaa aa aa aa aa


Bahaaron ki duniya pukaare tu aa jaa
Bahaaron ki duniya pukaare tu aa jaa
Tere muntzir hain sitaare tu aa jaa
Bahaaron ki duniya


Sadaa khush rahe tu, bhula dene waale
Dua de rahe hain, dua dene waale
Dua dene waale
Meri zindagi ke sahaare tu aa jaa
Bahaaron ki duniya


Aseer e qafas hoon, zabaan par hain naale
Zabaan par hain naale
Hamaari mohabbat khuda ke hawaale
Khuda ke hawaale
Kare door se dil ishaare tu aa jaa
Khayaalon ke daaman mein gham aa gaya hai
Gham aa gaya hai
Chali aa ke aankhon mein damm aa gaya hai
Damm aa gaya hai
Pareshaan hain tujh bin nazaare tu aa jaa
Bahaaron ki duniya


Teri yaad sham o sehar jaagti hai sehar jaagti hai
Naseeba hai soya,
Nazar jaagti hai
Nazar jaagti hai
Khushi banke dil mein hamaare tu aa jaa
Dil e muntzir mein sitaare tu aa jaa
Bahaaron ki duniya pukaare tu aa jaa
Bahaaron ki duniya.