ज़िंदगी Zindagi Lyrics - Javed Ali
2022 Sony Music India
About this song
- Composed by: Darbuka Siva
- Lyricist: Rashmi Virag
- Singer: Javed Ali
- Sarod: Debasmita Bhattacharya
- Electric Guitar, Acoustic guitar, Banjo, Ukulele: Keba Jeremiah
- Keyboard: Shyam Benjamin
- Recording Engineers: Dheeleben, Hafeez, Avinash Sathish, Rana Mondal
- Vocal production by- Vaibhav Pani
- Special thanks- Yash Narvekar
- DOP - Sujith Saarang, Ajai AL
- Colourist - Naveen Sabapathy
- Song - Mudhal Nee Mudivum Nee
- Movie - Mudhal Nee Mudivum Nee
- Singer - Sid Sriram, Darbuka Siva
- Composer - Darbuka Siva
- DOP - Sujith Saarang
- Editing - Sreejith Saarang
- Produced by Super Talkies - Sameer Bharat Ram
- Sach-much mein aa jaaye toh
Lyrics
Zindagi sunn meri baat to zara
Zindagi tha jo meri hai kahan bata
Zindagi tha jo meri hai kahan bata
Ek bhola sa chehra tha
Bilkul duaaon jaisa
Jaane kahan wo kho gaya
Bilkul duaaon jaisa
Jaane kahan wo kho gaya
Jise choo loon to lagta
Tha rabb ki panaho jaisa
Jaane kahan wo kho gaya
Tha rabb ki panaho jaisa
Jaane kahan wo kho gaya
Mere safar ka humsafar
Mujhse hi anjan tha kyun
Jiske liye saadiyon ruka
Do pal ka mehman tha kyun
Mujhse hi anjan tha kyun
Jiske liye saadiyon ruka
Do pal ka mehman tha kyun
Waqt ki tarah
Mere haathon se udd gaya
Main wahin raha
Aur woh aage badh gaya
Mere haathon se udd gaya
Main wahin raha
Aur woh aage badh gaya
Mere liye toh sab kuch tha wo
Ab kuchh na reh gaya
Choti si meri duniya tha wo
Mera ghar khali ho gaya
Ab kuchh na reh gaya
Choti si meri duniya tha wo
Mera ghar khali ho gaya
Dil abhi mera
Nahi toota hai theek se
Hai tika huya bas ek umeed pe
Nahi toota hai theek se
Hai tika huya bas ek umeed pe
Khwabon mein aata hai roz jo
Sach much mein aa jaaye to
Tum tod dena poori tarah
Koyi galti jo phir ho
Sach much mein aa jaaye to
Tum tod dena poori tarah
Koyi galti jo phir ho
Zindagi sunn meri baat to zara
Zindagi se meri baat to kara
Zindagi se meri baat to kara
Saath uske bahoonga
Main thandi hawaaon jaisa
Daaman na chodoonga kabhi
Main thandi hawaaon jaisa
Daaman na chodoonga kabhi
Mujhe ek baar dus baar
Sau baar de saza tu
Kuchh bhi na bolunga kabhi
Sau baar de saza tu
Kuchh bhi na bolunga kabhi
Saari umar oh humsafar
Parchaayi teri banunga
Khud ko kabhi dekhoge to
Main aaine mein dikhunga.
Parchaayi teri banunga
Khud ko kabhi dekhoge to
Main aaine mein dikhunga.