Zara theher jao song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Aye zindagi main dhoondhu kahan
Tujhe dhoondhu kahan
Nadiaan ki lehron main
Apnon main ghairon main
Pholoon main kalion mai
Sapnon ki galion main
Titli ke rango main
Udati patangon main
Khilte gulabon main
Behte charaghon main
Saath asmanon main
Saare jahaanon main
Awaaz de awaaz de
Tu hai jahaan aye zindagi
Main dhoondhu kahan
Tujhe dhoondhu kahan


Dekha nahi hai phir bhi teri
Soorat bunti rehti hoon
Dekha nahin hai phir bhi teri
Soorat bunti rehti hoon
Teri aankhon ki apne dil par
Dastak sunti rehti hoon
Koyal ki koo koo main
Sandal ki khushbon main
Badal ke aanchal main
Har lamha har pal main
Gaon ke panghat pe
Galion ki chaukat pe
Barfeeli rahon main
Paidon ki bahon main
Saath asmanon main
Saare jahanon main
Awaaz de awaaz de tu hai jahan
Aye zindagi main dhoondhu kahan
Tujhe dhoondhu kahan


Pehle pyaar ki aaj bhi yaadein
Mujh ko rolane aateen hain
Pehle pyaar ki aaj bhi yaadein
Mujh ko rolane aateen hain
Bujhti raakh kuraid k phir se
Dard jagaane aateen hain
Ashkon ki larion main
Sawan ki gharion main
Khamosh sagar main
Kohri ki chadar main
Haathon ki lakeeron main
Ujadi tasweeron main
Sulge aangaron main
Hijar ke maaron main
Saath asmanon main
Saare jahanon main
Awaaz de awaaz de tu hai jahan
Aye zindagi main dhoondhu kahan
Tujhe dhoondhu kahan


Meethi meethi ye jo kasak hai
Shayad pehla pyaar hai yeh
Meethi meethi ye jo kasak hai
Shayad pehla pyaar hai yeh
Sanson main jo anjani mehak hai
Shayad pehla pyaar hai yeh
Is rus bhare mausam main
Sholon main shabnam main
Chandani raaton main
Bheegi barsaton main
Navo main paani main
Bhooli kahani main
Papihe ki taaron main
Sur ki uraanon main
Saath asmanon main
Saare jahanon main
Awaaz de awaaz de tu hai jahan
Aye zindagi main dhoondhu kahan
Tujhe dhoondhu kahan.