Pyar kar liya to kya song is from and it is sung by and . This song is written by . This song was released on 01 Dec 2009.
Oye Pyar kar liya to kya, pyar hai khata nahi
Pyar kar liya to kya, pyar hai khata nahi
Teri meri umra mein kisne yeh kiya nahi

Tere honth mere honth sil gaye to kya hua

Dil ki tarah jism bhi mil gaye to kya hua

Is-se pehle kya kabhi yeh sitam hua nahi
Pyar kar liya to kya, pyar hai khata nahi

Main bhi hoshmand hoon, tu bhi hoshmand hai
Us tarah jiyenge hum jis tarah pasand hai haan
Main bhi hoshmand hoon, tu bhi hoshmand hai
Us tarah jiyenge hum jis tarah pasand hai
Unki baat kyon sunein jinse vasta nahi
Pyar kar liya to kya, pyar hai khata nahi

Rasm kya rivaaz kya, dharm kya samaaj kya
Dushmanon ka khauf kyon, doston ki laaj kya

Yeh woh shauk hai ke jis-se koi bhi bacha nahi