Pyaar mujhse song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2007.
Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paogi
Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paogi
Mere haalat ki aandhi main bhikar jaogi…
Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paogi


Ranj aur dard ki basti ka main bashinda hun,
Ye to bas main hun ke is haal mai bhi zinda hun,
Khwaab kyun dekhun wo kal jispe main sarminda hun,
Main jo sarminda hova to tum bhi to sarmaogi…
Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paogi


Kyun mere saath koi or pareshan rahe,
Meri duniya hai viran to viran rahe,
Zindagi ka ye safar tumpe to aasan rahe,
Hum safar mujhko banaogi to pachtaogi…
Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paogi


Ek main kya abhi aayenge diwane kitne,
Abhi gunjenge mohabbat ke tarane kitne,
Zindagi tumko sunaegi fasane kitne,
Kyun samajhti ho mujhe bhul nahi paogi…
Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paogi,
Mere haalat ki aandhi mai bhikha jaogi…