.It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
mai kaun hu mai kaha hu mujhe ye hosh nahi
mai kaun hu mai kaha hu mujhe ye hosh nahi
kidhar mai aaj rawa hu mujhe ye hosh nahi
mai kaun hu

mujhe na hath lagao ke mar chuka hu mai
mujhe na hath lagao ke mar chuka hu mai
khud apne hath se ye khun kar chuka hu mai
fir aaj kaise mai yaha hu mujhe ye hosh nahi
mai kaun hu

mai apni lash uthaye yaha chala aaya
koi bas itna bata de kaha chala aaya
ye kya jagah hai jaha hu mujhe ye hosh nahi
mai kaun hu

koi na aaye yaha ye mazar mera hai
koi na aaye yaha ye mazar mera hai
khada hu kab se mujhe intzar mera hai
kya kaha mai yaha hu mujhe ye hosh nahi
mai kaun hu