Koi karega na tumse pyaar song is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 07 Apr 2018.
Singer & Composer - Jeet Gannguli
Lyrics - Rashmi Virag
Director - Vinnil Markan
Main kabhi baarish banke aaun toh
Tum ghar se nikal ke aaja na
Main tumhe khushboo banke dhoondun toh
Tum raahein badal ke aaja na

Kabhi dhandi hawa, kabhi khwab koi
Banke main chalaa aaunga
Jaaoge kahaan saari dooriyan
Main tay karke aa jaaunga

Jitna hai maine kiya
Koi karega na tumse pyaar, tumse pyar
Main kabhi baarish banke aaun toh
Tum ghar se nikal ke aaja na

Tum mere baare mein sochoge toh
Meri gehraai mein kho jaaoge
Tum mere khwabon mein aaoge toh
Wapas nahi phir tum jaa paaoge

Main teri neendon se takraaun toh
Tum raatein meri mehka dena
Main kabhi aandhi banke aaun toh
Tum mujhko gale se laga lena

Kabhi saaya tera, kabhi yaad koi
Banke main chala aaunga
Jaaoge kahaan saari dororiyan
Main tay karke aa jaaunga

Jitna hai maine kiya
Koi karega na tumse pyaar, tumse pyar
Main kabhi baarish banke aaun toh
Tum ghar se nikal ke aaja na