Jawan hai raat saqiya sharab la song is from and it is sung by . This song was released on 01 Jan 2018.
jawan hai raat sakiya sharab la sharab la
zara si pyaas to bujha sharab la sharab la

tere shabab par sada karam rahe bahaar ka
tujhe lage meri dua sharab la sharab la

yaha koi na ji saka na ji sakega hosh me
mitaa de naam hosh ka sharab la sharab la

tera bada hi shukriya pilaaye ja pilaye ja
na zikr kar hisaab ka sharab la sharab la