Isharon Isharon Mein Dil Lene Wale Lyrics - Pran | Shammi Kapoor | Sharmila Tagore | Mohammad Rafi | Asha Bhosle

1964

Lyrics

Bataa yeh hunar toone seekha kahan se
Nigahon nigahon mein jaadu chalana
Meri jaan seekha hai tumne jahan se
O mere dil ko tum bhaa gaye
Meri kya thi ismein khata
Mujhe jisne tadpa diya
Yehi thi woh zalim adaa
Yehi thi woh zalim adaa
Yeh Ranjha ki baatein, yeh Majnu ke kisse
Alag to nahin hain meri dastan se
Isharon isharon mein dil lene wale
Bataa yeh hunar toone seekha kahan se
Mohabbat jo karte hain woh
Mohabbat jataate nahin
Dhadkanein apne dil ki kabhi
Kisi ko sunaate nahin, kisi ko sunaate nahin
Maza kya raha jab ki khud kar diya ho
Mohabbat ka izhar apni zuban se
Nigahon nigahon mein jaadu chalana
Meri jaan seekha hai tumne kahan se
Ho maana ki jaan-e-jahan
Laakhon mein tum ek ho
Hamaari nigahon ki bhi
Kuchh to magar daad do
Kuchh to magar daad do
Baharon ko bhi naaz jis phool par tha
Wohi phool humne chuna gulsitan se
Isharon isharon mein dil lene wale
Bataa yeh hunar toone seekha kahan se
Nigahon nigahon mein jaadu chalana
Meri jaan seekha hai tumne jahan se
Bataa yeh hunar toone seekha kahan se
Meri jaan seekha hai tumne jahan se
Bataa yeh hunar toone seekha kahan se
Meri jaan seekha hai tumne jahan se
Bataa yeh hunar toone seekha kahan se