Chand Chupa Baadal Mein Lyrics - Hum Dil De Chuke Sanam | Salman Khan | Aishwarya Rai | Ajay Devgan | Alka Yagnik | Udit Narayan
in Movies
Watch the Video
Song Information
Chand chupa baadal mein song is from Hum Dil De Chuke Sanam (1999) and it is sung by Alka Yagnik and Udit Narayan.It stars Salman Khan, Aishwarya Rai, Ajay Devgan, Helen in leading roles. This song is penned by Mehboob and composed by Ismail Darbar. It is produced by Sanjay Leela Bhansali, Jhamu Sughand. This song was released on 18 Jun 1999.
Lyrics
Sharma ke meri jaana
Chand chupa baadal mein
Sharma ke meri jaana..
Seene se lag ja tu
Balkha ke meri jaana
Gumsum sa hai, gupchup sa hai
Madhosh hai, khaamosh hai
Yeh sama haan yeh sama kuchh aur hai
O ho ho chand chupa baadal mein
Sharma ke meri jaana
Seene se lag ja tu
Balkha ke meri jaana
Nazdeekiyan badh jaane de
Arre nahi baba nahi abhi nahi nahi
Yeh dooriyan mit jaane de
Arre nahi baba nahi abhi nahi nahi
Door se hi tum jee bhar ke dekho
Tum hi kaho kaise door se dekhoon
Chand ko jaise dekhta chakor hai
Aye.. gumsum sa hai, gupchup sa hai
Madhosh hai, khaamosh hai
Yeh sama haan yeh sama kuchh aur hai
O ho ho chand chupa baadal mein
Sharma ke jaan-e-jaana
Seene se lag ja tu
Balkha ke meri jaana
Aaja re aaja chanda
Ke jab tak tu na aayega
Sajna ke chehare ko dekhne
Yeh man tarsa jaayega
Na na chanda tu nahi aana tu jo aaya to
Sanam sharma ke kahin chala jaaye na
Aaja re aaja chanda
Tu laakh duaayein paayega
Na na chanda tu nahi aana
Warna sanam chala jaayega
Aanchal mein tu chhup jaane de
Arre nahi baba, nahi baba nahi nahi nahi
Zulfon mein tu kho jaane de
Arre re nahi baba nahi abhi nahi nahi
Pyaar to naam hai sabra ka humdam
Wohi bhala bolo kaise karein hum
Savan ki raah jaise dekhe mor hai
Aye rehne bhi do, jaane bhi do
Ab chhodo na, munh modo na
Yeh sama, haan yeh sama, kuchh aur hai
Aaya re aaya chanda
Ab har khwaahish poori hogi
Chandini raat mein har sajni
Apne sajna ko dekhegi
Aaya re aaya chanda
Ab har khwaahish poori hogi
Chandini raat mein har sajni
Apne sajna ko dekhegi
Aaya re aaya chanda
Ab har khwaahish poori hogi
Chandini raat mein har sajni
Apne sajna ko dekhegi