Chal pyaar karegi song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Kumar S. Taurani, Ramesh S. Taurani. This song was released on 22 May 1998.
Oh ladke deewane kahan se aaya tu
Dulhan ko le jaane kahan se aaya tu x (2)

Mere saath chalegi, naa ji naa ji
Chal pyaar karegi, haan ji haan ji
Mere saath chalegi, naa ji naa ji
Arre tu haan kar ya na kar teri marzi soniye
Hum tujhko utha kar le jaayenge
Doli mein bitha kar le jaayenge
Hum ghar mein kahin chhup jaayenge
Sang tere nahi ham jaayenge

Ho chal pyaar karegi, haan ji haan ji
Mere saath chalegi, naa ji naa ji
Arre tu haan kar ya na kar teri marzi soniye
Hum tujhko utha kar le jaayenge
Arre doli mein bitha kar le jaayenge
Hum ghar mein kahin chhup jaayenge
Sang tere nahi ham jaayenge
Chal pyaar karegi, haan ji haan ji

Ho gore gore mukhde waali
Ho kaale kaale nainon waali
Maan mera ehsaan Ke maine haan kar di
Tu warna kunwari reh jaati
Yeh shaadi hamari reh jaati
Tu warna kunwari reh jaati
Yeh shaadi hamari reh jaati
Chal pyaar karegi, haan ji haan ji
Mere saath chalegi, naa ji naa ji

Ja main nahi karti shaadi-waadi
Mujhko pyaari hai yeh azadi
Main to apne babul ke baagon ki bulbul hoon
Bas tujhse mujhe yeh kehna hai
Pinjre mein mujhe nahi rehna hai
Bas tujhse mujhe yeh kehna hai
Pinjre mein mujhe nahi rehna hai
Chal pyaar karegi, haan ji haan ji
Ho mere saath chalegi, naa ji naa ji

Aankhon se kaajal le jaayenge
Zulfon ke baadal le jaayenge
Arre hum aaye hain door se
Yoon waapas na jaayenge
Hum apni sajaniya le jaayenge
Arre hum apni dulhaniya le jaayenge
Hum apni sajaniya le jaayenge
Arre hum apni dulhaniya le jaayenge

Chal pyaar karegi, haan ji haan ji
Ho mere saath chalegi, naa ji naa ji
Arre tu haan kar ya na kar teri marzi soniye
Hum tujhko utha kar le jaayenge
Arre doli mein bitha kar le jaayenge
Hum ghar mein kahin chhup jaayenge
Sang tere nahi ham jaayenge
Hum apni sajaniya le jaayenge
Arre hum apni dulhaniya le jaayenge
Hum apni sajaniya le jaayenge
Arre hum apni dulhaniya le jaayenge