Zameen o aasmaan song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Bunty Walia, Jaspreet Singh Walia. This song was released on 16 Jul 2010.
Zameen o aasman ke maalik sun
Chhod saare kaam tu zameen pe aa
Zameen o aasman ke maalik sun
Chhod saare kaam tu zameen pe aa
Aake tu khud dekh ke teri duniya
Nafratein kar rahin hain kaise tabah


Koi karta nahi kisi pe yakeen
Kaun kya hain chale pata bhi nahi
Haan magar unko sazaa milti hai
Jinki hoti hain koi khata hi nahi
Ab har taraf itna ghana andhera hai
Bhej suraj yahan koi chaand dikha
Zameen o aasman ke maalik sun
Chhod saare kaam tu zameen pe aa


Ab tere naam par tere bande
Iss kadar itna khoon bahaate hain
Dekh kar jinko yeh samandar bhi
Apni aukaadon pe sharmaate hain
Tu nek de taufeek aakar
Jo bhi bhatke hain
unhe sahi raah bataa
Tu nek de taufeek aakar
Jo bhi bhatke hain
unhe sahi raah bataa


Zameen o aasman ke maalik sun
Chhod saare kaam tu zameen pe aa


Lamhaa har lamhaa khauf bhara
Kyon hain yaha kyon hain yaha
Lamhaa har lamhaa khauf bhara
Kyon hain yaha kyon hain yaha.