Yeh wadiyan yeh fizayen song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Vasant Joglekar, Panchadeep Chitra. This song was released on 01 Jan 1963.
Yeh wadiyan yeh fizayen bula rahin hain tumhen
Khamoshiyon ki sadayen bula rahin hain tumhen

Taras rahe hain jawan phool honth chhoone ko

Machal machal ke hawaen bula rahi hai tumhen
Machal machal ke hawaen bula rahi hai tumhen
Khamoshiyon ki sadayen bula rahin hain tumhen
Yeh wadiyan yeh fizayen bula rahin hain tumhen

Tumhari zulfon se khushbu ki bheekh lene ko

Jhuki jhuki si ghatayen bula rahin hain tumhen
Jhuki jhuki si ghatayen bula rahin hain tumhen
Khamoshiyon ki sadayen bula rahin hain tumhen
Yeh wadiyan yeh fizayen bula rahin hain tumhen

Hasin champayi pairon ko jabse dekha hai

Nadi ki mast adaayen bula rahin hain tumhen
Nadi ki mast adaayen bula rahin hain tumhen
Khamoshiyon ki sadayen bula rahin hain tumhen
Yeh wadiyan yeh fizayen bula rahin hain tumhen

Mera kaha na suno inki baat to sun lo
Mera kaha na suno inki baat to sun lo
Har ek dil ki duaayen bula rahin hain tumhen