Ye udas aasman song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Ye udas aasman rat ye dhua dhua
Ho mere chand tum kaha
Thak gayi meri juba aa gayi labo pe ja
Ho mere chand tum kaha


Thar thara raha hai pyar ka jiya
To gawar hai bujhi bujhi fiza
Haye is judai ke andhere me
Dubta hi ja raha hai dil mera
Kah raha hai ye sama hasrato ki dasta
Ho mere chand tum kaha


Bekashi ka kab talak karu gila
Dastan ka na tut jaye silsila
Yu tumhari rah dekhte hue
Sau na jaye dhadkano ka kafila
Kuch to apna do nisha
Kho gayi hu mai yaha
Ho mere chand tum kaha


Rat ka bhi rang ab badal gaya
Intzar aasuo me dhal gaya
Aaj roz ki tarah na aaye tum
Aaj wado pe hi waqt tal gaya
Rat bhar ki mehman sama ban chuki dhua
Ho mere chand tum kaha.