Yaar main india chala song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Mehul Kumar. This song was released on 29 Mar 2002.
Mere yaaron khat aaya hai
Ghar jaldi mujhe bulaya hai

Mere yaaron khat aaya hai
Ghar jaldi mujhe bulaya hai
Peepal ki thandi chhanv mein
Ik ladki mere gaanv mein
Karti hai mera intezar
Yaar main india chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala

Khat mein likha hai aaja kuchh kaam pad gaya hai
Lekin nahin likha jo woh maine padh liya hai
[O God! he is crazy
O chhad yaar tu agge bol]
Logon se khabar yeh sun li hai
Meri Maa ne ladki chun li hai
[Oh no..]
Logon se khabar yeh sun li hai
Meri Maa ne ladki chun li hai
Ladki ne bhi haan kar di hai
Mat poochho meri kya marzi hai
Main kabse hoon taiyar
Yaar main India chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala

Kajal laga rahi hai, bindiya laga rahi hai
Arre kajal laga rahi hai, bindiya laga rahi hai
Hai kitni door lekin nindiya chura rahi hai
Nindiya chura rahi hai
Nindiya chura rahi hai
Raanjhe ki heer ke jaisi hai
Gupchup tasveer ke jaisi hai
Na maine usko dekha hai
Na usne mujhko dekha hai
Bin dekhe ho gaya pyaar
Yaar main India chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala

O des ko jaane waale.. tu ek kaam karna
O des ko jaane waale tu ek kaam karna
Pardesiyon ka ja kar sabko salaam karna
Aa.. aa..
Yeh geet jo toone gaya hai
Kuchh yaad hamein bhi aaya hai
Dil chaahe hum bhi ghar jaayein
Parades mein hi na mar jaayein
Jeevan ka kya aitbar
Yaar tu India chala
Yaar tu India chala
Yaar tu India chala
Yaar tu India chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala
Yaar main India chala