Ya dil ki suno duniya walon song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by L. B. Lachman. This song was released on 01 Jan 1966.
Ya mujhko abhi chup rehne do
Main gham ko khushi kaise keh doon
Jo kehte hain unko kehne do

Ya dil ki suno duniya walon
Ya mujhko abhi chup rehne do
Main gham ko khushi kaise keh doon
Jo kehte hain unko kehne do
Ya dil ki suno duniya walon

Ye phool chaman mein kaisa khila
Ye phool chaman mein kaisa khila
Maali ki nazar mein pyaar nahin
Hanste huye kya kya dekh liya
Ab behte hain aansu behne do
Ya dil ki suno duniya walon

Ek khwaab khushi ka dekha nahin
Ek khwaab khushi ka dekha nahin
Dekha jo kabhi to bhool gaye
Manga hua tum kuchh de na sake
Jo tumne diya woh sehne do
Ya dil ki suno duniya walon

Kya dard kisi ka lega koi
Kya dard kisi ka lega koi
Itna to kisi mein dard nahin
Behte huye aansu aur bahein
Ab aisi tasalli rehne do

Ya dil ki suno duniya walon
Ya mujhko abhi chup rehne do
Main gham ko khushi kaise keh doon
Jo kehte hain unko kehne do
Ya dil ki suno duniya walon